AllIdeaHub YouTube SEO Tool Review: Title, Keywords Aur Description Ek Jagah

Disclosure: Yeh AllIdeaHub ka apna tool hai aur main isi site ko chalata hoon. Isliye review mein tool ki kami bhi saaf likhi hai.

Video edit ho gaya, ab upload se pehle sawal shuru: title kya rakhein, description mein kya likhein, hashtag kaunse lagayein, thumbnail par kya dikhayein. Mere saath aksar yahi hota hai ki ek cheez par atak jaata hoon aur baaki jaldi mein nipta deta hoon.

Isi liye AllIdeaHub par YouTube SEO Tool banaya gaya hai. Topic daalne par yeh title ideas, keywords, hashtags, description ka draft, thumbnail ideas aur ek checklist deta hai. Is article mein main batata hoon ki isse kaise kaam lein aur kahan ruk kar khud sochna padta hai.

Pehle hi bata dun: yeh ranking machine nahi hai. Views ya number one position ki guarantee koi tool nahi deta.

YouTube SEO ka matlab kya hai?

Simple baat: video ko aise present karna ki viewer aur YouTube dono samajh jayein ki video kis baare mein hai. Sirf keyword daal dena SEO nahi hai.

Title video ka sach bataye, thumbnail wahi promise kare jo video mein hai, aur description mein kaam ki baat ho. Teeno mein se ek bhi alag baat kare, to viewer jaldi video chhod deta hai.

Tool mein kya milta hai?

Topic daalne ke baad output mein yeh sections aate hain:

  • SEO title ideas
  • Primary aur related keywords
  • Long-tail keywords
  • Hashtag suggestions
  • Description ka draft
  • Thumbnail ideas
  • Content strategy aur SEO checklist

Aap niche, audience, content type (Tutorial, Review, Shorts, List wagairah), language (Hindi, Hinglish, English) aur title tone chun sakte hain.

Maine isse test kiya

Maine tool mein topic daala “YouTube Kaise Start Karein 2026”. Niche: YouTube, Audience: Beginners, Content type: Tutorial, Language: Hinglish, Title Tone: Beginner Friendly. Phir Generate YouTube SEO par click kiya.

Titles: Tool ne 10 title ideas diye. Zyadatar is tutorial video par fit baithe, jaise “YouTube Kaise Start Karein 2026 Beginners Ke Liye Complete Guide” aur “…Step by Step Kaise Kare?”. Lekin kuch titles mein wording ajeeb thi. Title 1 mein “Kaise” do baar aaya (“Karein 2026 Kaise Kare?”), aur title 3 mein “7 Best Tips” likha tha, jo tabhi theek hai jab video mein sach mein 7 tips hon.

Keywords: Primary keyword topic jaisa hi aaya. Related aur long-tail keywords mein wahi phrase “tips”, “tricks”, “tutorial”, “for beginners” ke saath dohraya gaya tha. Naye ideas kam mile, isliye main inhe seedha use nahi karta, balki khud shortlist banata hoon.

Hashtags: #YouTubeTips, #ContentCreator, #Beginners jaise tags relevant lage. Lekin #YouTubeKaiseStartKarein2026 lamba hai,15 se zyada hashtags diye gaye, isliye main sirf wahi hashtags rakhunga jo video ke topic se genuinely relevant hain.

Description: Pehla paragraph simple aur kaam ka laga. Aage ki lines generic thi (jaise “common mistakes”), isliye main unhe apne video ke hisaab se edit karta hoon.

Mera final title: YouTube Kaise Start Karein 2026: Beginners Ke Liye Step by Step Guide. Yeh maine tool ke diye title ko edit karke banaya.

Nateeja: Yeh tool “kaise karein” jaise tutorial topics par accha starting point hai, aur ek click mein title, keywords, hashtags aur description mil jaate hain. Lekin output mein words repeat hote hain aur keywords naye nahi hote, isliye final title aur description khud edit karna zaruri hai.

 

 

Output ko kaise use karein

Title

Tool ke diye title ko seedha copy na karein. Dekhein ki video usme jo promise karta hai wo sach mein deta hai ya nahi. “100% Viral” ya “Guaranteed Views” jaise claims se door rahein.

Keyword

Primary keyword woh phrase hai jo video ka subject sabse sahi batata hai. Isse title aur description mein ek-do baar natural tareeke se aane dein. Har line mein dohrane ki zarurat nahi. Agar koi phrase padhne mein ajeeb lage, to use apne words mein badal dein.

Description

Tool jo draft deta hai wo shuruaat hai, final nahi. Pehli do lines mein seedha batayein ki video mein kya milega. YouTube ki official guidance bhi description ki shuruaat mein clear explanation aur relevant keywords rakhne ko kehti hai. Chapters aur links wahi daalein jo video mein sach mein hon.

Hashtags

Sirf wahi jo topic se judte hon. #Viral ya #Trending jaise tags sirf reach ke naam par na lagayein.

Thumbnail

Idea ko mobile screen par dekh kar check karein. Title aur thumbnail ek hi baat kahein, aur koi nakli before-after ya copied design na ho.

SEO Readiness Score

Tool ek score dikhata hai, par yeh YouTube ka ranking score nahi hai, aur tool page par bhi yahi likha hai. Yeh bas ek andaza hai ki suggestions kitne organized hain.

Video chalega ya nahi, ye publish ke baad YouTube Analytics batata hai: log kis search se aaye, kitni der dekha, thumbnail par kitne click hue.

Jo yeh tool nahi karta

Search volume nahi batata

Search volume nahi batata. Yeh jaanne ke liye YouTube ki search suggestions, Analytics ka Research tab ya Google Trends dekh sakte hain.

Aapka channel nahi jaanta

Isko aapki audience ya purane videos ki history nahi pata, isliye final decision aapka hi hona chahiye.

Poori SEO nahi karta

Video quality, fact-checking, thumbnail design aur audience ki samajh aapko khud karni hai.

Mera workflow

Main sabse pehle video ka topic chhota aur saaf likhta hoon, jaise “YouTube Kaise Start Karein 2026”. Lamba sentence daalne par titles ajeeb ho jaate hain, isliye topic simple rakhta hoon.

Phir audience aur content type chunta hoon. Tutorial aur list video ke titles alag tarah ke hote hain, isliye yeh selection zaruri hai. Tool se output aane ke baad:

  1. Title: Jo title repeat hota hai ya jisme “Kaise” do baar aata hai, use hata deta hoon. Bache hue titles mein se woh chunta hoon jo video ko sabse honestly batata ho, aur zarurat ho to apne words mein edit karta hoon.
  2. Keywords: Poori list use nahi karta. 2-3 relevant phrases shortlist karta hoon.
  3. Description: Pehla paragraph rakhta hoon, baaki khud likhta hoon taaki wahi baatein rahein jo video mein sach mein hon.
  4. Hashtags: 3-5 rakhta hoon, baaki hata deta hoon.
  5. Thumbnail: Idea ko mobile screen par dekh kar check karta hoon, aur title ke saath same message rakhta hoon.

Video publish hone ke baad YouTube Analytics dekhta hoon ki log kis search se aaye aur kitni der dekha.

Dusre tools ke saath

Keyword ideas ke liye YouTube Keyword Generator aur sirf title wording ke liye YouTube Title Generator bhi hain.

Pehle keyword shortlist karein, phir SEO Tool mein poora package dekhein, aur aakhir mein khud padh kar final karein.

Agar description ko alag se optimize karna ho, to Description Generator bhi use kar sakte hain. Thumbnail ideas ke liye Thumbnail Ideas Generator available hai.

Kiske kaam ka hai?

Naye creators ke liye, jinhe khali page par shuru karna mushkil lagta hai. Purane creators brainstorming ke liye bhi use kar sakte hain.

Confidential ya client ka content tool mein na daalein.

Aam galtiyan

  • Generated text bina padhe publish karna
  • Har keyword title mein bhar dena
  • “Viral Style” ko viral hone ki guarantee samajhna
  • Title ek baat kahe aur thumbnail doosri
  • Unrelated hashtags lagana

FAQ

Kya tool free hai?

Tool page ke mutabik haan. Features badal sakte hain, isliye live page check kar lein.

Kya API key ya signup chahiye?

Page par “No API Key” likha hai, aur basic suggestions ke liye alag key ki zarurat nahi batayi gayi.

Kya yeh views guarantee karta hai?

Nahi. Views topic, competition, video quality aur timing par depend karte hain.

Kya SEO Readiness Score ranking score hai?

Nahi. Yeh sirf content ke organized hone ka andaza hai.

Kya generated title seedha use kar sakte hain?

Kar sakte hain, par pehle dekhein ki video se match karta hai ya nahi.

Final verdict

Yeh tool planning ka ek achha starting point hai: title, keyword, description aur thumbnail ke idea ek hi jagah mil jaate hain, aur blank page ka dar kam hota hai. Lekin generated cheezein final jawab nahi hain. Inhe apne video se milayein, edit karein aur publish ke baad Analytics se seekhein.

Note: YouTube ke features aur search behaviour badalte rehte hain. Zaruri decisions se pehle apna YouTube Analytics zaroor dekhein.

References

  1. AllIdeaHub YouTube SEO Tool
  2. YouTube Help: video description aur keywords
  3. AllIdeaHub About Us
  4. AllIdeaHub Disclaimer